: : Shero Shayari :
1     Kabhi Zameen Mat Chodna:

      Samne ho manzil to raaste na modna,
      Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
      Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
      Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna.

2.    Kuch Ker Kay Dikha Diya.....

      Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
      Is jahan main jeetnay walay muqaam bohut hain,
      Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay,
      Roz mar mitney walay naam bohut hain.

3.    Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai:

      Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai,
      Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
      Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
      Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.


4   Taqdeer Ka Suraj:
   
    Hosley buland kar raaston par chal de,
    Tujhe tera mukaam mil jayega,
    Akela tu pehel kar,
    Kaafila khud bann jayega,
    Maysoos hokar na umeedon ka daman chhod,
    Varna khuda naraz ho jayega,
    Thokron se na tu ghabra,
    Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
    Nakamyabi ki dhund se na ghabrana,
    Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega.



5   Yun to umar hai bahut choti si,
    Par har chote se lamhe ko tu ji bhar ke ji le,
    Khwab si is zindagi mein, Khwab aise bun,
    Ki leke rukhsat is jahaan se khule jab aankhein teri
    Tab kar khuda se saamna kabhi jhuke na teri nazar......


6   HAWAON SE KEH DO APNI AUKAAD MEIN RAHE
    HUM PAIRO SE NAHI HOSLO SE UDA KARTE HAIN


7.  SAPNE NAHI TOOTA KARTE
    SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
    WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE
    LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
    TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE


8.   Nigaho Mein Manzil
     Nigaho mein manzil thi,
     gire aur gir kar sambhalte rahe,
     hawao ne bahut koshish ki,
     magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe.


9.   Khwaab Zinda Rakh
     agar aankhein teri zinda hai
     to inn mein khwaab bhi zinda rakh
     mayoosi le jati hai kufr ki janib
     hardam ummeed-e-fatah rakh
     ragon mein jab khoon rawan hai ab tak
     to koshishein apni rawan rakh
     na ummeed le jati hai nakaami ke janib
     umangein apni jawan rakh.


10.  Tujhe Mile Tu Jo Chahe
     Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye
     Har Lamha Teri Taqdir Sawarti nazar Aye
     Bin Mange Tujhe Mile Tu Jo Chahe
     Dua Khud Tere Hathon Ko Tarasti Nazar Aye


11.  Seekh

     saahil jo samajh le moujon ko
     kya khouf use tufaano se
     mar kar hi to jeena hai
     jeena hai yeh sikh liya parvaano se


12.  Udaan-hausla

     Manzil unhi ko milti hai
     Jinke sapno me jaan hoti hai
     Pankh se kuchh nahi hota
     Hauslon se udaan hoti hai


13.  Zindagi Degi Hassne Ke Mauke Hazaar Tumhein
     zindagi se na rakho kabhi koi shikayat tum
     yeh hasne ke degi mauke hazaron tumhein
     muqabla karo hasske pareshanion ka tum
     agar musibat aaye koi jo zindagi mein tumhein
     jo aisi soch rakhoge har baaar tum
     safalta milegi hi aakhirkar tumhein
     hansne ke mauke degi zindagi baar baar tumhein.


14.   Raah

     raah mein kaante ek do nahi hote
     raah kaanton se bhari hoti hai
     manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
     jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai
     dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
     ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain
     jinki nigaah manzil par hoti hai
     ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain.


15. CHALTE RAHIYE

    HO KE MAYOOS NA YOON SHAAM SE DHALTE RAHIYE,
    ZINDAGI BHOR HAI SURAJ SA NIKALTE RAHIYE,
    EK HI PAON PE THAHROGE TO THAK JAOGE,
    DHIRE-DHIRE HI SAHI RAAH PE CHALTE RAHIYE.



No comments

Post a Comment

Powered by Blogger.